Tere Bina Tere Bina

Friday, November 20, 2009

jaatii hai dhuup ujale paro.n ko sameT ke


 jaatii hai dhuup ujale paro.n ko sameT ke zaKhmo.n ko ab ginuu.Ngaa mai.n bistar pe leT ke  [par = wing]  mai.n haath kii lakiire.n miTaane pe huu.N ba-zid go jaanataa huu.N naqsh nahii.n ye sleT ke  [ba-zid = determined/firm on (my) decision; sleT = slate]  duniyaa ko kuchh Khabar nahii.n kyaa haadasaa huaa phe.Nkaa thaa us ne sang gulo.n me.n lapeT ke  [haadasaa = accident; sang = stone]  phavvaare kii tarah na ugal de har ek baat kam kam vo bolate hai.n jo gahare hai.n peT ke  [phavvaaraa = fountain]  ik naqara_ii khanak ke sivaa kyaa milaa 'Shakeb' Tuka.De ye mujh se kahate hai.n TuuTii pleT ke  [naqaraa_ii = silver like; khanak = tinkle/sound] 

No comments:

Post a Comment