Tere Bina Tere Bina

Thursday, November 5, 2009

ye kyaa ke ek jahaa.N ko karo vaqf-e-iztaraab


 ye kyaa ke ek jahaa.N ko karo vaqf-e-iztaraab  ye kyaa ke ek dil ko shakebaa.N na kar sako   aisaa na ho ye dard bane dard-e-laazaval  aisaa na ho ke tum bhii mudaavaa na kar sako   shaayad tumhe.n bhii chain na aaye mere baGair  shaayad ye baat tum bhii gavaaraa na kar sako   kyaa jaane phir sitam bhii mayassar ho na ho  kyaa jaane ye karam bhii karo yaa na kar sako   allaah kare jahaa.N ko merii yaad bhuul jaaye  allaah kare ke tum kabhii aisaa na kar sako   mere sivaa kisii kii na ho tum ko justajuu  mere sivaa kisii kii tamannaa na kar sako 

No comments:

Post a Comment