badalate vaqt kaa ik sil_silaa saa lagataa hai
ke jab bhii dekho use duusaraa-saa lagataa hai
tumhaaraa husn kisii aadamii kaa husn nahii.n
kisii buzurg kii sachchii duaa saa lagataa hai
terii nigaah ko tamiiz rang-o-nuur kahaa.N
mujhe to Khuun bhii rang-e-hinaa saa lagataa hai
damaaG-o-dil ho.n agar mutma_ii.n to chhaao.n hai dhuup
thape.Daa luu kaa bhii ThanDii havaa saa lagataa hai
[mutma_ii.n = content/satisfied; luu = hot summer breeze]
vo chhat pe aa gayaa betaab ho ke aaKhir
Khudaa bhii aaj shariik-e-duaa saa lagataa hai
tumhaaraa haath jo aayaa hai haath me.n mere
ab aitabaar kaa mausam haraa-saa lagataa hai
nikal ke dekho kabhii nafarato.n ke pinjare se
tamaam shahar kaa "Manzar" khulaa saa lagataa hai
Tere Bina Tere Bina
Thursday, October 15, 2009
badalate vaqt kaa ik sil_silaa saa lagataa hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment