Tere Bina Tere Bina

Thursday, October 15, 2009

saaman-e-tijaarat meraa imaan nahii.n hai


 saaman-e-tijaarat meraa imaan nahii.n hai har dar pe jhuke sar ye merii shaan nahii.n hai  [tijaarat = trade]  har lafz ko siine me.n basaa lo to bane baat taako.n me.n sajaane ko ye quraan nahii.n hai  [taak = shelf]  allaah merii rizq kii barakat na chalii jaaye do roz se ghar me.n ko_ii mahamaan nahii.n hai  [rizq = subsistence/daily bread; barakat = abundance/good fortune]  ham ne to banaaye hai.n samandar me.n bhii raste yuu.N ham ko miTaana ko_ii aasaan nahii.n hai  jis ko buzurgo.n kii rivaayat na rahe yaad us shaKhs kii logo.n ko_ii pahachaan nahii.n hai  [buzurg = elder]

No comments:

Post a Comment