Tere Bina Tere Bina

Sunday, October 4, 2009

Ghazal


kyaa hasiin mousam hai kyaa hasii.n nazaara hai
aaj hamne aa.Nkho.n mein chaaNd ko utaara hai

Doobne nahii.n detii ye nadii kuhabbat kii
paar bhii nahii.n miltaa ek hii kinaaraa hai

ik sabab yahii to hai hichkiyo’n ke aane kaa
aaj usakii yaadon ne phir mujhe pukaara hai

aapake hii dam se hain dil kii dhaDhkanein qayam
aapake baghair apanaa ab kahaa.N guzaara hai

she’r-o-shayari mein din Doob kar guzaare hain
sab samajh rahe hain ham kis taraf ishaara hai

usane kah diyaa hamse bhool jaaei.n wo chehraa
aaiiney se pooChaa tha aks kyaa hamaara hai

waqt ke liye hamane kyaa nahii.n kiya “gulshan”
hamne apane haatho.n se waqt ko saNvaara hai

No comments:

Post a Comment