Na duniya na duniya ke gham dekhte haiN
Tumhaari taraf dam-ba-dam dekhte haiN
Kisi ko ziyaada na kam dekhte haiN
Jo jaisa hai waisa hi hum dekhte haiN
Kuchh aise bhi haiN daur-e-haazir ke insaaN
Jo duniya ko zere-qadam dekhte haiN
Halaakoo jise log kahte the kal tak
Use aajkal mohtaram dekhte haiN
Sadi ki shuruaat achchhi nahiN hai
Bahar-su qayaamat raqam dekhte haiN
Wo jis par koi jurm saabit nahiN hai
Usi shakhs ka sar qalam dekhte haiN
UnhiN ke usuloN pe chalna hai “Waquif”
BuzurgoN ke naqshe-qadam dekhte haiN
Tere Bina Tere Bina
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment