Tere Bina Tere Bina

Monday, October 5, 2009

us ne jab tyorii badal kar baat kii

us ne jab tyorii badal kar baat kii
miT ga_ii duniyaa merii jazbaat kii

tum ne shiishe pe jhuk kar baat kii
vo uThii kaalii ghaTaa barasaat kii

dil kii dha.Dakan ba.D rahii hai har nafas
tez hai raftaar paiGaamaat kii

tum mere duniyaa merii uqbaa merii
ab kamii mujh ko bhalaa kis baat kii

ro diye ham dekh kar suu-e-falak
us ne ha.Ns kar jab kisii se baat kii

No comments:

Post a Comment